Friday 12 April 2013

Na wo shoq-e-muhbat na talab rahi

Na wo shoq,e,muhbat na talab rahi, na wo dil, na wo dil men kasak rahi,
Han wo too bhi kuch, kuch badl gaya, han wo main bhi kuch, kuch badl gaya...

Kabhi wo bhi wo bhi din thay k meri har ghazal men, too lafz, lafz tha likha hua,
na wo lafz rahe, na wo daatan rahi, meri tehreer ka unwan badal gaya...

Ab rastay hain meray chaar soo, par manzalen hain meri be,nishan.
Meray ham,safar ik too kia juda hua main tu apni zaat men bhatak gaya...

Yon tu sangadil tha itna k kia kahoon, rahen aahen bhi mujh pe be.asar.
Ik dard tera mujh ko kia mila main tu moum ban k pighal gaya...

Kabhi lout aa mujhay thaam ly meri be,lous muhbat ka "Yasir" enaam dy.
Wo ju teri khawahish thi amar hui main tu reza, reza hawa men bikhar gaya....!!

No comments:

Post a Comment