Friday 7 June 2013

Do bol tareef k honton pe to le ao

Jb b unki twajjau men kami pati hun
Suljhi hui zulfen mei yunhi uljhati hun
 Do bol tareef k honton pe to le ao
 Ek ek cheez apni tere lye sajati hun

Maujon k sath sath kinaray b dehal gaye

Jin k lye chiragh sar e sham jal gaye
 Dunya k sath wo b nigahen badal gaye
 Biphra hua tha aj samandar ktch is trah
 Maujon k sath sath kinaray b dehal gaye

Friday 12 April 2013

Na wo shoq-e-muhbat na talab rahi

Na wo shoq,e,muhbat na talab rahi, na wo dil, na wo dil men kasak rahi,
Han wo too bhi kuch, kuch badl gaya, han wo main bhi kuch, kuch badl gaya...

Kabhi wo bhi wo bhi din thay k meri har ghazal men, too lafz, lafz tha likha hua,
na wo lafz rahe, na wo daatan rahi, meri tehreer ka unwan badal gaya...

Ab rastay hain meray chaar soo, par manzalen hain meri be,nishan.
Meray ham,safar ik too kia juda hua main tu apni zaat men bhatak gaya...

Yon tu sangadil tha itna k kia kahoon, rahen aahen bhi mujh pe be.asar.
Ik dard tera mujh ko kia mila main tu moum ban k pighal gaya...

Kabhi lout aa mujhay thaam ly meri be,lous muhbat ka "Yasir" enaam dy.
Wo ju teri khawahish thi amar hui main tu reza, reza hawa men bikhar gaya....!!

Bas tara pyar hi kafi hy mere jeene ko

 Bas tara pyar hi kafi hy mere jeene ko,
 Tere honton pe tabsum k mehkty hue pal,
 Tere chehre ki tamazat teri banhon ka hesaar,
 Teri ankhon mn wo chaht k chamkte jugnu,
 Teri qurbat ka meri jan wo khabeeda khumar,
 Kon maange ga duain mare jeene k liye,
 Kon sochy ga mje tari tarah sham.o.sehar,
 Kon seraab kre ga meri piyasi ankhen,
 Kon de ga mje jazbon k sabhi lal.o.gohar,
 Mere jeene ka sahara meri dunia tum se,
 Dekh hr lamha mje apna bnaye rakhna,
 Dil k aangan ko weran na kr jana kabhi,
 Apni chahat se meri jan sjaye rakhna,
 Bas tera pyar hi kafi hy mere jeene ko.

Shaam lout aati hai par jane walay

Too hi bata dy mujhe ay dil-e-betaab zara,
Ghamzada rehne k asbaab kahan se aatay hain...
 Main tu yak musht usay soonp doon sab kuch lekin,
Aik muthi men meray khawab kahan aatay hain...
 Muddaton baad ju usay dekha tu dil bhar aaya,
Warna sehraoun men sailaab kahan aatay hain...
 Meri be-dard nigahoun men agar bhoolay sy,
Nened aay bhi tu ab khawab kahan aatay hain...
Tanha rehta houn main din bhar teray hotay huay,
Shaam lout aati hai par jane walay lout kahan aatay hain......

Jaane kyun bahot roye hum aise karke...

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k,
Jane kiun bahot roaye ham esa kar k...
 Yun meri be-basi pe muskuranay walay,
Kia mila tujh ko meray dukh men izafa kar k...
 Kia kabhi too ne bhi mujh se muhbat ki thi,
Poch zara khud ko aainay men kharha kar k...
 Kaash too mery dard men hamdard bana hota ,Sagar,
 Too ne tu chorh dia mujh ko tamasha kar k......!

Thursday 11 April 2013

Meray dil ki duniya bana k mita di

Koocha-e-yaar may ja kar Yeh pukara main aaj,
"Ik dil bechata hoon hai koi lenay wala..."
Dil-farooshi ki sada sun k yakayak ghar say
Hasb-e-Naaz aa gaya' Darwazay pay wo matwala....
 Phir mujhay dekh k' Khush ho k laga yoon kehnay,
"Kiyon Miyaa'n !! Kon pukaara tha abhi dil wala?"
 Arz ki main nay "Mujood hai' hazir hai yeh dil....
Par dil say dil bechta hoon Hai koi lenay wala....??"
Phir jo kuch dil may aai Tu utha kar dil ko
Lay liya haath main' Dil khoob sa dekha bala....
Bahar-e-taqdeer wo kuch sooch k bola zalim
Jins naqas hai teri' main nahi lenay wala....
 Main kehta reh gaya' "Khata-e-Muhabbat nay achi saza di'
Meray dil ki duniya bana k mita di...."

Wednesday 10 April 2013

Main lafzon mein kuch bhi

Main lafzuon main koch bhi izhhar nahi karti.
Matlaab yeh nahi k tujhe pyaar nahi karti.
Chahti hoon main tujhe aaj par
Teri soch main apna waqqt bekar nahi karti.
Tamasha na bon laye kahi mohabbat meri
Isi liye apne dard ko namoodar nahi karti
Jo kuch mila hai usi main khush hoon main
 Tere liye khuda say taqrar nahi karti
Par kuch to teri fitrat main zalim
Warna main tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti...

Zindagi my na hoti judai

Zindagi my na hoti judai,
 Tou yaad na karta har kesi k0 koi,
 Par acha kia Khuda nay bnai ye judai,
 Kyun K judai se hi samajh aati hai"
 Rishton Ki Gehrai.......

Saturday 6 April 2013

Khotta sika hoon ju chalta hoon tu

Meri hasti ko naey rang men dhal jane dy
Apne ham,raah mujhe door nikal jane dy...
 Aeyn mumkin hai k ye teer hadaf tak ponchay,
 Meri har sans ko seenay se nikal jane dy...
 Kab talak sath nibhaon dil,e,wehshi tera,
Dhal chuki umer mujhe ab tu sambhal jane dy...
 Teray bazaar men ly aaya hoon tootay sapne,
Khotta sika hoon ju chalta hoon tu chal jane dy.....!

Thursday 4 April 2013

Sab kuch jhoot kehta hai, Magar

Agr main tum se ye keh doun..!
Mujhe tum se muhbbat hai, Tu tum ye mat samjh lena..
K main ne sach hi kaha ho ga, K aesi dil nasheen baaton ko..
Aesay dil rubb lamhe men kehna, Mujhe bachpan se Aata hai...!
Meri ankhen, mera chehra, Mera be,sakhta lehja..
Sab kuch jhoot kehta hai, Magar is jhoot men..
Ek such bhi hai, Aur wo ye k...! Mujhe tum se Muhbat hai.....!

Chand ansoon hein hasti

Hum zamany sey faqat husn'e'guman rekhty hain
Hum zamany sey tawaqo hi kha rakhty hain,

Eik lamha bhi musarat ka baht hota he,
Loog jeeny ka saleeqa kaha rakhty hain?

Chand ansoon hein hasti ky chamak hai jinse,
Kuch hawadis hen k duniya ko jawan rakhty hen....

Ek muddat se mujhe soojhta kuch bhi nahi

Haath mera ay meri parchai too hi thaam ly,
 Ek muddat se mujhe soojhta kuch bhi nahi...
 Shehir,e,shab men kon sa ghar tha na di jis par sadaa,
Nened k andhay musafir ko mila kuch bhi nahi...
 Umar bhar umar,e,guraezan se na meri ban saki,
 Ju karay, karti rahe main poochta kuch bhi nahi...
 Wo bhi shahid ro parhay akhri khat parh kar,
Main ne us akhri khat men likha kuch bhi nahi......

Samjha do Apnii Yaadon Ko

Samjha do Apnii Yaadon Ko...!
Wo bin bhulaaye Chalii Aatii hen...!!
Tum to Door reh karr Sataati ho Magarr..!!
 Wo Paas A karr rulaa Jaati hen...!! ♥ ♥

Shaam lout aati hai par jane

Too hi bata dy mujhe ay dil-e-betaab zara,
Ghamzada rehne k asbaab kahan se aatay hain...
 Main tu yak musht usay soonp doon sab kuch lekin,
 Aik muthi men meray khawab kahan aatay hain...
 Muddaton baad ju usay dekha tu dil bhar aaya,
Warna sehraoun men sailaab kahan aatay hain...
 Meri be-dard nigahoun men agar bhoolay sy,
Nened aay bhi tu ab khawab kahan aatay hain...
 Tanha rehta houn main din bhar teray hotay huay,
Shaam lout aati hai par jane walay lout kahan aatay hain......

Wednesday 3 April 2013

Na Bikne Ka Iraada Ho

Zindagi Mein Mushkilen Aaye Toh,
Himmat Aur Barhti Hain,
 Koi Agar Raasta Roke,
Toh Jurrat Aur Barhti Hain,
 Agar Bikne Pe Aajaao,
Toh Ghat Jaate Hain Daam,
 Na Bikne Ka Iraada Ho,
Keemat Aur Barhti Hai…

Monday 1 April 2013

Kyun us ki taraf dekh k

Marney ka tere gham mai irada b nhi hai
Hai ishq mgr itna zyada b nhi hai
 Hai yun k ibaarat ki zuban aur hai koi
kaghaz meri taqdeer ka sada b nhi hai
Kuny dekhte rehte hen sitaro'n ki taraf hum
jab un se mullaaqat ka wa'ada b nhi hai
 Kuny raa'h k manzir mai ulajh jati hen aankhen
jab dil mai koi aur irada b nhi hai
 Kuny us ki taraf dekh k paao'n b nhi uthtey
wo shakhs hasee'n itna zyada b nhi hai
 Kis morr pe le aya hume hijar-e-musalsal
 taa-hadd-e-nigaa'h visal ka wa'ada b nhi hai
 Pathar ki trhan sard hai Q aankh ksi ki
amjad jo bicharne ka irada b nhi hai.....

Lekin phir B tujhe khuda Se Baar baar maanga

Mujhe apne barbad Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna Tu bohat roya.
 Main ne Har pal har Su tujhe Yad kia,
 Jab Tujhe Apni Yad se Gaafil paya tu bohat Roya.
 Ye zindagi Ye Ronaqein Ye ranjishein,
Jab in Sab me Tujhe Tanha paya Tu bohat Roya.
 Main ne apne Dil k har Konay me sirf tujh ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jab Koi Or dekha Tu bohat Roya.
Main Jaanta tha k To Es k Nasib me nahi Hai.
Lekin phir B tujhe khuda Se Baar baar maanga Tu Bohat Roya.

Muqadar Main Ho Doob Jana

Jab Kisi Ke Naseebon Ke Sitare Toot Jate
Hain Chor Deti Hay Dunya, Sahare Toot Jate Hain
Woh Kashti Jis Ke Muqadar Main Ho Doob Jana
Agar Toufaan Se Bach Nikle Tu Kinaray Toot Jate Hain

Sunday 31 March 2013

Tumhara udas chahra

Ishq main dil ka tmasha dakha nahi jata
 Hum say tota hua shesha dakha nahi jata
 Apny hesa ke khushya bhe tumhain dae doon
 Tumhara udas chahra hum sa dakha nahi jata 

Hum Kisi Ke Dil Ko Chu Na Sake

Kisi Ne Dil Ko Aise Chu Liya Ke,
 Hum Kisi Ke Dil Ko Chu Na Sake,
 Hum To Chale The Dost Banane Un Ko,
 Par Woh To Dil Ki Dhadkan Ban Gaye,.,.,,,,,!!!

kuch nahi bas Insan kabhi kuch b kar nahi pata

Kitab e maazi k wo kuch safhaat sath laya hai
Un beti yadon k wo kuch lamhaat sath laya hai
Magr pagal hai wo Abi tak dondta hai
jo Un chandni raton ko Pyari methi baton ko
Yadgar mulaqaton ko Boht he wo masoom hai
shayd abhi usy kuch nhi maloom hai shayd
Jo ye nahi janta k Sapny churany se
Yan Milny milany se Kabi hasny rulany se
koi apna nhi hota Bus ye dil hai rota
Wo to boht anjaan hai
 jesy Ghar ka k0i mehman hai
jesy Jo abhi tak be khabr hai
 kya Koi apna roothy to Koi sapna tooty to
Or ye sath choty to H0ta hai
kuch nahi bas Insan kabhi kuch b kar nahi pata
Or phr mrny ki tmanna main kbhi b mar nhi pata

Ankhon k anso bhi kehte han

"Bohat kar lia intazar Shab-e-Tanhai main tere ane ka..
 "Dost"
 Ankhon k anso bhi kehte han k so jaa ab wo tera talbgaar nahi raha" 

Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho

Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho
 Jab Shaam K Saaye Dhalte Hain
Jab Soraj Doobne Lagta Hai
Jab Neele Neele Ambar Pe
Ek Laali Si Cha Jati Hai
Jab Sard Hawa K Jhonko Se
Dil Moam Sa Pighla Jata Hai
Us Waqt Ka Aalam Mat Poocho
Tum Yaad Bohat Hi Aate Ho
Tum Yaad Bohat 

Saturday 30 March 2013

Kuch yadgar-e-shehar-e-sitam-ghar hi le chalen aaye hen is gali mai to pathar hi le chalen.


Kuch yadgar-e-shehar-e-sitam-ghar hi le chalen
aaye hen is gali mai to pathar hi le chalen.

 Yun kis trhan katey ga kar'ri dhoop ka safar
sir par khayal-e-yaar ki chaadar hi le chalen
 Ranj-e-safar ki koi nishani to paas ho
thori c khaak-e-koocha-e-dilbar hi le chalen..
Ye keh k cherti hai hume dil-giriftagi
ghabra gaye hen aap to bahar hi le chalen..
 Is shehar-e-be-chaargi mai jayegi tu kaha'n
aa aey shab-e-firaq...tujhe ghar hi le chalen..

Friday 29 March 2013

Laut Kar Aana Tera Yeh Mumkin Nahi, ♥

Laut Kar Aana Tera Yeh
 Mumkin Nahi, ♥
 Phir Kyun Lagta Hai
Ke Tum Chale Aoge..!! ♥

Zindgi Mai Zindgi Ki Ada Nahi Milti Muft Mai To Kisi Ki B Dua Nahi Milti

Zindgi Mai Zindgi Ki Ada Nahi Milti
Muft Mai To Kisi Ki B Dua Nahi Milti
 Tum Lakh Aazmatey Raho Logo'n Ko
 Kisi Se DIL Nahi Milta, To Kisi Ki Raza Nahi Milti
 Mujhe Maghroor Mat Samjho Dunya Walo
Ek Bas Uski Yaad Se Mujhey Panah Nahi Milti
 Baat Agr Muhabat Ki Hai To Jaan Lo
Kisi Ko Milti Hai Be Had
To Kisi Ko Zara Nahi Milti
 Yun To Milti Hai Har Cheez Dunya K Bazaar Mai
Nahi Milti Agar Kuch To Faqt Wafa Nahi Milti

Aaj Phir Baad-e-Baharaa'n Ne Mery Kaano'n Mein Chupkay Chupkay Tery Aanay Ka Poocha Mujh Se

Aaj Phir Baad-e-Baharaa'n Ne Mery Kaano'n
 Mein Chupkay Chupkay Tery Aanay Ka Poocha Mujh Se
 Poocha Sandaisa Koi,Chithhi Koi Aayi Hay?
 Gungunatey Hue Jharno'n Ne Zara Tham Tham k Pocha
Sajnii Ki Khabar Bolo Kahi'n Payii Hay?
 Aaj Phir Ratjaga Aangan Mein Mery Utray Ga
 Aaj Phir Neend Ki Devi Mera Ghar Bhoolay Gi 
Aaj Phir Chaand k Chehray Ka Yeh Un-Chuwa Tilsam 
Mujhay Dekhay Ga To Bas Dekhta Reh Jaye Ga
 Aaj Phir Bhor Bharay Tak Terii Baatein Khud Se
 Apni Tanhayii Se Karta Hi Chala Jaon Ga
 Aaj Phir Barha Ki Maari Hui Badlii
Koi Meri Aankhon Mein Jo Jhankey Gi
 Thathak Jaye Gi Aaj Phir Dair Talak....
.Dair Talak.....Dair Talak Tu Na Aaye Gi
 Teri Yaad Chali Aaye Gi...!!

Majboor anaa Ho kar, paband e wafa ho kar Hum baith gay akhir raazi ba_raza ho kar, .

Majboor anaa Ho kar, paband e wafa ho kar..,
Hum baith gay akhir raazi ba_raza ho kar, .
Jis rut main woh bichra tha' Us rut k ta'Aqub main, .
Dill hai k dharkta hai, Raahon ki hawa ho kar.. .
 Is jism k zindan main ik omer say qaidi hoon,
ur jayen gay hum akhir ik roz riha ho kar .
 Ab tak mere angan main phoolon ka basaira hai,
 Guzray thay mere ghar say woh baadesaba ho kar.
 Is darja e mohabbat main doobi hai meri hasti,
  Har lafz nikalta hai honton say dua ho kar...!

Mat us khuwab k peechay bhago! Pathar ban kar rah jao gi. .

Mat us khuwab k peechay bhago!
Pathar ban kar rah jao gi. .
Taiz bohot hai wakt ka dariya.
 Dekha! Khawaab Ho Gaey Tum Bhi...
Tum bhi is mein bah jao gi. .
 Ye nashtar jaisi ruswai. .
Bolo! Kaisay sah jao gi?
 Kia bacho jesi baato’ se
Tum sab ko behla sakti ho?
Kia tum apnay mann ki mantaq
 Duniya ki suljha sakti ho?
 Khuwabo’n jesi baatain kar k Kia
paa sakti ho? Baap ki shafqat, maa’
n ki mamta Kia such much thukra sakti ho?
Jis ghar mein parwaan charhi tum
Us ko chorr k aa sakti ho?
 Aisi batain na-mumkin hain Bus tum apni tanhai mein. .
 Hijr k geet hi gaa sakti ho!

Hum Naa Kehty Thay Waqat Zaalim Hai Dekha! Khawaab Ho Gaey Tum Bhi...

Hum Naa Kehty Thay Waqat Zaalim Hai,
 Dekha! Khawaab Ho Gaey Tum Bhi...
Koi Rishta Jo Na Hota To Woh Khafa Kyun Hota
Yehi Be-Rukhi Us Ki Mohabbat Ka Pata Deti Hai

aadatein uski thi bas muj ko satane waliBaat ki hans kar magr dil ko dukhane wali,,

aadatein uski thi bas muj ko satane wali,,
 baat ki hans kar magr dil ko dukhane wali,,
 aaj kal muje wo kuch badla hwa lagta hai,,
 ho gayi us ki nigaahein b zamane wali,,
 hum ne ikhlaas ka daman nahi chora ab tak,,
 uski to muhabbat b hai rulane wali,,
 main ne samjha tha guzar jaye ga mosam lakin,,
 rut-e-barsaat b nikli to satane wali,,
 tumhare waste ab koi nai hai mohsin,,
 khud se baatein na kro dil ko behlane wali...!!

Wednesday 27 March 2013

Unse door jaane ka irada naa tha Sada saath rehne ka wada bhi naa tha

Unse door jaane ka irada naa tha
Sada saath rehne ka wada bhi naa tha
 wo yaad nahi karega jante the hum
 Par itni jaldi bhool jayega andaazanaa tha.

yOoN gARAj gARAj kAr kiSs kOo aAWAZEin dAy rAhA hAy..!

yOoN gARAj gARAj kAr kiSs kOo
 aAWAZEin dAy rAhA hAy..!
 --aAy bAdAL..!!
 "LAgtA hAy mERii tARhA
 tOoN bHii tANhA hOo gAyA hAy..!!

Bethay hain Rah guzr pe Dil ke diye jalaye

Bethay hain Rah guzr pe
 Dil ke diye jalaye
 Shayad wo Dard samjhy
Shayad wo Loat aye...

Tuesday 26 March 2013

Her ik ne libaas e pakeezgi churha rukha hai her ik ne khud ko moatbar bana rukha hai

Her ik ne libaas e pakeezgi churha rukha hai
 her ik ne khud ko moatbar bana rukha hai
 jo dikhta hai woh hota nahin zahir
 her ik ne apna asal chupa rukha hai

Tanhayoun k azaab ney mujhey sonay nahi diya Ek Yaad-E-Be qarar ney mujhey sonay nahi diya,

Tanhayoun k azaab ney mujhey sonay nahi diya,
 Ek Yaad-E-Be qarar ney mujhey sonay nahi diya,
 Aati hui khizaan ka meray dil mein khaoof tha,
 Jati hui bahaar ney mujhey sonay nahi diya,
 Hum ko har aik pal teri aamad ki aas thi,
 So hum ko terey intizaar ney sonay nahi diya,
 Yadoon ki khushbu ney jagaya tamaam raat, 
Shab bhar tumhary pyaar ney mujhey sonay nahi diya,
 Poosheda meray dil mein kahin aaj tak ho tum,
 Maazi k us pyaar ney mujhy sonay nahi diya

Kash kisi Udaass Moasam mein.. Meri Ankhon per woh Haath Rakh dey Apney

Kash kisi Udaass Moasam mein..
Meri Ankhon per woh Haath Rakh dey Apney
Ore Hanstey Hoowey woh keh dey...
Boojh lo to hum tumharey...
Naa Boojho to tum hamarey ....

Jab Aap Kisi Ko Pasand Karne Lagte Hain, To Unki Buraiyaan,

Jab Aap Kisi Ko, Pasand Karne Lagte Hain,
 To Unki Buraiyaan,
Bhool Jaate Hain, Jab Aap Kisi Ko,
 Napasand Karne Lagte Hain,
 To Unki Khubiya, Bhool Jaate Hain…

Palko Pe Aansu Kyun Tanhayi Main Hote Hai,

Palko Pe Aansu Kyun Tanhayi Main Hote Hai,
 Dil Kyun Kisi Ki Yaad Mein Itna Rote Hain,
 Yaad Jab Aati Hai Kisi Ki To Aankho Ko Sukun Milta Hai,
 Tute Dil Kahan Chain Sote Hain,
 Tarap Ke Dekho Kisi Ke Pyar Mein,
Jab Dil Ke Tukre Hazaron Mein Hote Hain…

Us Ne Raat Ke Andhere Mein Meri Naazuk Si Hatheli Par Likha Tha,

Us Ne Raat Ke Andhere Mein
 Meri Naazuk Si Hatheli Par Likha Tha,
 Apni Ungali Se, Main Tum Se Pyar Karti Hun,
 Jaane Kaisi Shyahi Thi,KeWho Lafaz Mite Bhi Nahi,
 Aur Dikhe Bhi Nahin …
Suna Hai Pyar Karne Wale Ajib Hote Hain,
Khusi Ke Badle Gham Naseeb Hote Hain,
 Mere Dost,
 Mohabbat Na Karna Kabhi
,Kyonki
Pyar Karne Wale Bade Badnaseeb Hote Hain…

Aeh Chand Unko Mera Paogam Kahna Khushi Ka Din Aur Hansi Ki Raat Kahna,

Aeh Chand Unko Mera Paogam Kahna,
 Khushi Ka Din Aur Hansi Ki Raat Kahna,
 Jab Who Dekhe Bahar Aake,
 Unko Pyar Se,
Mubarak Ho Ramzaan Kahna…

Waa'az sa bazm men charcha hone na diya Ham ne apne ap ko tamsha kabhi hone na diya..

Waa,iz sa bazm men charcha hone na diya,
 Ham ne apne ap ko tamsha kabhi hone na diya..
 Ham ko is gardash,e,duran ne kahen ka na chorha,
Phir bhi lehjay ko shaksta kabhi hone na diya..
 Roz jalna hai isay, roz jalana hai usay,
 Aatish,e,shoq ko thanha kabhi hone na diya..
 Umer rishton k taqazon ko kabhi nibha na saki,
Zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya..
 Kitna aasan tha apne aap se juda ho jana,
 Ishq men zehin ka soda kabhi hone na diya.....!

Sunday 24 March 2013

Lagta nahi k sath nibhaye ga w0 dair tak

Lgta nahi k sath nibhaye ga w0 dair tk,
 lekin w0 mujh k0 Bh0l na paaye ga dair tk,
 j0 bhi qareeb aAye ga usS k USsy zAaror
w0 meri daAastan sunAaye ga dAir tk,
dh0ndy ga w0 mUjhy enhi galiyon mein ek din,
dh0ndy ga 0r mUjh k0 Nna pAaey ga dair tk,
main sAhil0n ki rAit pay likh0n ga usS ka nAam,
w0 pAani pAy mEra nAqsh bnaYe ga dair tk,
kiSs hAal mein hAy uSs sy bichrny k bAad maAn..
Sun kAr uSay yAaqeEn na ayeGa daIr tK.

Mere Labb Us Kay TaQaddus Men HiLty Hi Nahi

Mere Labb Us Kay
TaQaddus Men HiLty Hi Nahi
UsSy Kaho
Meri Aankhon Men
Izhar-E-Muhabbat Dekhy...!!l

Chalo phir dhoond laty hain, Usi masoum bachpan ko,

Chalo phir dhoond laty hain,
 Usi masoum bachpan ko,
 Unhi masoum khushiyon ko,
 Unhi rangeen lamhon ko,
 Jahan gham ka pata na tha
 Jahan dokh ki samajh na ho,
 Jahan sirf mouskarahat thi,
 Baharen hi baharen thi,
 K jab sawan barasta tha,
 To us kaghaz ki kshti ko,
 Banana or duabo dena,
 Boht acha sa lgta tha,
 Or is dunia ka her chehra,
 Boht sacha sa lagta  tha,
 Chalo phir dhoond laty hen,
 Usi masoom bachpan ko...!

Zamanay ki her jannat tumhari ho gi,

Zamanay ki her jannat tumhari ho gi,
Yeh aasman yeh zameen tumhari ho gi,
Mujh say keh bhi na pao gay uskay pehlay,
Meray hissay ki her khushi tumhari ho gi,

Dil se Lekhi Baten Dil Ko Choo Jati Hain

Dil se Lekhi Baten Dil Ko Choo Jati Hain Ye Aksar Anoukhi Bat Keh Jati Hain Kuch Log Milkar Badal Jaaten Hain Aur Kuch Logon Se Milkar Zindagi Badal Jaati hai.

Mohabat dokh tu deti hai Mgar Eik bat kehni hai

Mohabat dokh tu deti hai
 Mgar Eik bat kehni hai
 Jis se chaht hojate hai
 Zarori ye nahi hota k
Usko pa liya jaey
Kabhi us k bicharne se
 Mohabat kam nahi hoti
 Zara si dair pahle to
 Yehi ehsaas hota hai
 K Koi ji nahi sakta
Magr phir rafta rafta hi
 Haqiqat khol hi jati ha
 k Mohabbat wo nahi hoti
 K jisko pa liya jaey
 Mohabat wo bi hoti hai
 Jo hamesha sath rahti hai
 Kbhi dukh k andheron me
 Kbhi khushion k daman me
 Kbhi wo aahsas dati ha Kbhi umeed dati ha.!!

Houn To Khafa Us Sy Pr Janey Phir B Keyn

Houn To Khafa Us Sy,
Pr Janey Phir B Keyn…?
 Na Chah Kr Bei Us Ko Chahna Acha Lgta Ha…
 Haqeqt Sy Houn Dhour, Ye Mujh Ko Ha Pta…
 Pr Jaan K Anjan Rehna Acha Lagta Ha…
 kaayel Nahi Main Roney Ki Phir Be Kbhi Kbhi…
 Tanhai Main Kuch Deir Rona Acha Lagta Ha…
 To Mera Tha, To Mera Ha, Tu MERA Rahay Ga…
 Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!! ♥

Meray hathon ki janib

Judae ki Aziyat se Mira dil ab be drta hai
 Judae Do ghri ki ho To koi dil ko samjhay
Char pal ki ho To koi dil ko bahlay
 Judae Umar Bhar ki ho.....
 To kia chara kary koi
 ke aik milny ki hsrat main
 bhala kab tak jilye koi
 Meray Maula Kram kar de !
 To aesa kr be skta hai
 Meray hathon ki janib
dekh enhay Tu Bhar bi sakta hai !!

Mohbat rog hoti ha kaha bi tha

Mohbat rog hoti ha kaha bi tha
Rola ka khod bi roti ha kaha bi tha,
use tum dil ki dharti ka pata mat do
 ye us main dard boti hai kaha bi tha,
 kinare k bohat nazdeek ley ja kr ye
 kshti ko dboti ha kaha bi tha,
 azal se is ki aadat ha zamane ko
 jga kr khud ye suti ha kaha bi tha.
 ya sar sy paoon tak rakh kr dite ha
 bohat be dard hoti ha kaha bi thaa....

Ansuon Ki Bheed Me Wo Kho Jaye

Pata Nahi Zindagi Ko Mujhse Kya Chahiye,
Jo Kabhi Mera Ho Nahi Sakta Use Itna Kareeb Lati Hai,
Jab Chod Ke Jayega Woh Hum,
Aisa Karna Ho Ki Hum Se Jy
Ansuo Ki Bheed Me Wo Kho Jaye




Hamari Nas Nas Mein Samaye Huye Hain

Seene Pe Unke Jalwey Chupaye Huye Hain,
Ham Apne Dil Ko Pahaar Banaye Huye Hain,
zikr Unka Har zuban Par Nahi To Kya Hain,
wo To Hamari Nas Nas Mein Samaye Huye Hain…

Itna Pyar Day kar


Haan Mera Har Lamha,
Chura Liyaa Aap Ney,

Aaankho Ko Eik Naya Chand,
Dekha Diya Aap ney,

Hameen Zindagi Di Kisi Aur Ney,
Par Itna Pyar De kar,

Jeena Sikhaya Aapne


Duniya Nahin Chalti,



Yaado Ke Sahaare Duniya Nahin Chalti,

Bina Kisi Shaayar Ke mahfil Nahin Banti,

Eik baar Pukaro Toh Doston,

Kyonki Dosti Ke Bina Yeh Zindagi Nahin Chalti







Jeene Ki Nayi Adaa De Ha


Jeene Ki Nayi Adaa De Ha,
 Khosh Rehne Ki Usny Dua De Ha,
 Aa Khuda Mery Dosto Ko Salamat Rakhna,
 Jinhone Apne Dil Mein Mujhe Jagah De Ha…
Khuda Jaane Ky Ab Kyon,
Hum Se Na Pyar Karte Ho
Mila Kar Aankhen Gairon Se
Hamein Intezar Karte Ho,
Gulab Banke Husn Ko ,
Yun Na Salaam Karo,
Kya Hai Ishq Toh Ishq Ko,
Badnam Na Karo…

Ke Dil Kya Kahe

Woh Khoobsurat Is Qadar Hai,
Ke Dil Kya Kahe,
Saare zamane Ki Un Par Nazar Hai,
Ke Dil Kya Kahe,
Jee Chaahta Hai Jala Doo,
Ke Saare Jahaan Ko,
Lekin Es Shehar Mein Unka Bhi Ghar Hai,
ke Dil Kya Kahe…

Chale Safar Ko Hum Tum

Chale Safar Ko Hum Tum,
 Taaron Ki Chhon Mein,
 Aazaad Hain Ab Duniya Se,
 zanjeer Nahin Hai Paoun Mein,
 Bhar Le Pyar Se Mujhko
, Apni Bahon Mein,
 Main Tarpati Rahti Hun, 
Teri Rahon Mein

Saturday 23 March 2013

Belajawaz rakhen khud ko beqarar bhi kun

Belajawaz rakhen khud ko beqarar bhi kun,
Ju too nahi hai tu tera intezar bhi kun..

Akelay,pan ka safar jab mera muqdar hai,
Tu phir ay wada,e,shikan tera intezar bhi kun..

Usay gawa k ab rahon khizaon ki zad men,
Ju wo nahi tu phir mosam,e,bahaar bhi kun..

Agar bhoolay huay usay ek umar bhi hui hai,
Tu phir ye aaj tabiyat hai sogwar bhi kun..

Jab us ko shok tha raston ki dhool hone ka,
Palat kar dekhta ja raha tha bar, bar bhi kun....????

Es Shokh Se Dakh Rahe The Hajoom Ko

Es Shokh Se Dakh Rahe The Hajoom Ko

Hum Per Nazar Pari To Dariche Se Hat Gaey

Insan na hs kr sikhta hai

Insan na hs kr sikhta hai,
na ro kr sikhta hai,
jb b kuch alg sikhta hai to,
ya to kisi ka hokr sikhta hai,
ya kisi ko kho kr sikhta hai...

Tu Hi Apnay Khwabo Se Ataa Kar Mere MaaLik

Tu Hi Apnay Khwabo Se Ataa Kar Mere MaaLik...!

Khawab AuQaat Mein Reh Kar Nahi Daikhay Main Ne..

Kabhi Ye Naaz Ke wo

Kabhi Ye Naaz Ke wo Mera Hai Fakhar Mera Hai,
Kabhi Ye Darr Ke wo Mujhse Khaffa Toh Nahi,
Kabhi Ye Dua Ke Usse Mile Jahan Ki Khushiyan,
Kabhi Ye Khauff Ke wo Mere Bina Khush Toh Nahi…

Saccha Dost Woh

Gull woh Jo Gulshan Ko Apni Khushboo Se Mehka Day,
Sitara Woh Jo Apne Roshni Se Aasman Ko Chamka De,
Rishte Woh Jo Zindagi Jeene Ka Pyara Sa Ehsaas Jaga De, Aur Sacch
a Dost Wo Jo Hamari Zindagi Ko Khushi Se Saja De…

Wafa Ka Koi Sila

Usko Chaha To Bahut Magar Wo Mila Hi Nahi
Laakh Koshish Ki Magar Faasla Mita Hii Nahi,

Usko Zamaane Ne Majboor es Kadar Kar Deya
Ky Meri Kise Sadaa Pe Wo Rukaa Hi Nahen,

Khuda Se Jholi phaila Ky Maanga Tha Usy
Khuda Ne Meri Kisi Dua Ko Sunaa Hi Nahi,

Har Ek Se Pucha Sabab Uske Na Milne Ka
Har Ek Ne Bataaya Ki Wo Mere Liye Banaa Hi Nahi,

Men Tamaam Umar Ki Koshishon Ke Bawjood Nakaam Ho Gaya
Aor Wo Usko Mil Gaya Jisny Usy Kabhi Maanga Hi Nahen,

Itni Shiddat Sy Chhaha Magar Tu Kisi Aor Ki Ho Gayi
Shayad Is Jahan Men Wafa Ka Koi Silla Hi Nahen…

Dard Mein Kabhi

Kinaaro Par Moti Mila Nahen Karty Hen
Dard Mein Kabhy Gilaa Nahen Karte Hen
Ham Achhey Naa Sahi Burey Hi Sahi,
Lekin Hum Jaisye Bure Bhi,
Har Kisi Ko Milaa Nahen Karte Hen

Bawafa Hi Kahane Lagy

Muddaty Mohabbat Ki Bhi woh Aabru Na Rakh Saky,
Duniya Ky Dar Se woh Aahen Bhi Na Bhar Saky,
Khud Rusvaai Se Dar kar woh Hamein Ruswa Karne Lage,
Bewafaie Kar Ke woh Hamein Bawafa Hi Kahane Lage…

Aashiqui Ban Baithy

Yun To Tamannayein Dil Main Na Thi Hamein Lekin,
Na Jaane Tujhy Dekh kar Kyon Aashiqui Ban Baithy,
Bandagi To Khuda Ki Bhi Kartey They Lekin ,
Na Jaane Kyun Ham Kaafir Ban Baithy…

Dil Lagaane Ky Qaabil

Na Hum Rahey Dil Lagaane Ky Qaabil,
Na Dil Rahaa Gum Chupane Ky Qaabil,
Lagy Us ki Yadoon Ky Jo zakhm Dil Ke Upur,
Na Chhora Usne Muskuraaney Ke Qaabil…

Door Ho Kar Qareeb Rahna

Door Ho kar qareeb Rahna Nazaakat
Hy Hamaari,
Yaad Ban kar Aakhon Se Bahnaa
Sharaarat Hy Hamaari,
qareeb Naa Hote Hoye B Qareeb
Paaoge,
Kyon ky Ehasaas Ban kar Dil Main
Rehna Addat Hy Hamaari…

Jab Yaad Aati Hai A Lovely Poetry

Bahut Ajeeb Dard Hotaa Hai Naa ,
Jub Yaad Aati Hai,

Aawaz Toh Nahin Hotee,
Par Dil Kee Dhadkan Badh Jaati Hai,

Aakhon Ke Raaste Chamakate Motee Girane Lagte hai,
Agar Us Pal,

Apne Seene ko Naa Dabaa Loo ,
Toh Jaise Jaan Nikalti Jaati Hai

Terri Yaadon Me

Terri Yaadon Me Kuchh Aisi Baat Hai,
Ke Har Waqat Teree Yaadein Hamaare Sath Hain,
Dil Chahataa Hai Ki Tujhko Tujhee Se Churaa Loo,
Par Mummy Kahti Hain Ki Choree Karnaa Buri Baat Hai

Juda Hokr Bhi vo Sataney Sey, Baaz Nahe Aatey

Juda Hokr Bhi vo Sataney Sey, Baaz Nahe Aatey, Door Rehkr Bhi Who Dil Jalaney, Se Baaz Nahe Aatey, Hum Toh Bhulna Chahte Hain, Unka Vaajud Bhi , Magar Who Khawabon Mein Aane Se, Baaz Nahe Aatey,

Tere Pyar Mein Khud Ko Barbaad Kar Liya

Khud Ko Jahaan Mein Badnaam Kar Liya, Apna Daaman Kanto Se Chaak Kar Liya, Ab Toh Hata Do Rukh Se Parda zaalim, Tere Pyar Mein Khud Ko Barbaad Kar Liya

Aaj Dekho Meri Chahat Nilaam Huyi

Mohabbat Mein Khata Huyi, zakhmi Dil Ki Duhhai Hai, Mere zakhmi Dil Mein Unhen, Apni Chaahat Nazar Aai Hai, Hamein Sudharne Ki Unki Kosish, Nakaam Huyi, Aaj Dekho Meri Chahat Nilaam Huyi,

Rah Rah Kar Teri Yaad Sataye, Toh Kya Karun,

Rah Rah Kar Teri Yaad Sataye,
Toh Kya Karun,

Pal Bhar Dil Ko Chain Na Aaye,
Toh Kya Karun,

Dil Paani Paani Ho Gaya Hai,
Teri Yaad Mein,

Jab Tu Paani Mein Aag Lagaye,
Toh Main Kya Karun…

Daag Bewafai Ka

Churi Dil Pe Chalne Lagi Ha, Jb Hum Naam Unka Batane Lagen Hain, Qatial Kiya Ha Unhone Hamara, Ab Hamein Hi Woh Qaatil Batane Lagen Hain, Qatal Kar Ke Bhi Sukun Na Aaya Unhen, Daag Bewafai Ka Daaman Pe Lagane Lagen Hain, Daag Aansu Se Dhoya Jab Hamne, Who Keemat Aansuo Ki Chukane Lagen Hain

Main Tera Deewana Hun,

Main Tera Deewana Hun, Tu Meri Deewani, Aao Milkar Likhen Dono, Pyar Ki Nayi Kahani, Abhi Aaye Ho Toh Baitho, Yeh Mousam Suhana Hai, Abhi Toh Haal-e-Dil Tum Ko Nigaaho Se Sunana Hai

Bewafa Tera Intezar

Nazrein Meri Thak Na Jaaye, Bewafa Tera Intezar Karte Karte, Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye, Tum Se Isq Ka Izhaar Karte Karte, Jahaan Waale Dekhte Hain Ghur Ghur Kar, Ke Hamein Yeh Kya Beemari Ho Gayi Hai

Wednesday 20 March 2013

Kar Lengey Gujaara Hass K

Ham Toh Har Haal Mein Kar Lengey Guzara Has Ke,
Tu Agar Kar De Jo Ishara Ik Baar Has Ke,
Apne Hokar Bhi Voh Karte Hain Begano Se Wafa,
Hamne Dekha Hai Yeh Gamhir Nazara Has Ke,
Dekhkar Manjare Sarsaar Dhadkata Hai Jigar,
Jab Bhi Kambhakt Ne Mujhse Sawari Has Ke,
Kya Tujhe Milta Hai Raaz Ka Imtihan Lekar,
Sar Kalam Kar Du Agar Kar De Ishara Has Ke…

Bas Ye Hi Aarzu

Ae Yaaro Meri Is Iltaja Ko Meri Khawaish Na Samjhana,
Meri Duniya Toh Ujad Gayi Apni Duniya Sajaye Rakhna,
Kisi Ke Saathi Ban Jana Un Se Khilwad Na Karna,
Bas Ye Hi Aarzu Hai Meri Kisi Se Pyar Na Karna

Mein Agar Dekho Zindagi Apni

Hasraton k aaine mein agar dekho zindagi apni,
Tuta hua paaoge tum yeh aaina kabhi,
Umeed k sahaare tum na jeena zindagi saahil,
Raahon ka kya hai yeh bhi badal jayegi kabhi,
Humne maana k dekhi nahi zindagi kareeb se,
Par door se hi teer maare usne mujhe kabhi…