Friday 7 June 2013

Do bol tareef k honton pe to le ao

Jb b unki twajjau men kami pati hun
Suljhi hui zulfen mei yunhi uljhati hun
 Do bol tareef k honton pe to le ao
 Ek ek cheez apni tere lye sajati hun

Maujon k sath sath kinaray b dehal gaye

Jin k lye chiragh sar e sham jal gaye
 Dunya k sath wo b nigahen badal gaye
 Biphra hua tha aj samandar ktch is trah
 Maujon k sath sath kinaray b dehal gaye

Friday 12 April 2013

Na wo shoq-e-muhbat na talab rahi

Na wo shoq,e,muhbat na talab rahi, na wo dil, na wo dil men kasak rahi,
Han wo too bhi kuch, kuch badl gaya, han wo main bhi kuch, kuch badl gaya...

Kabhi wo bhi wo bhi din thay k meri har ghazal men, too lafz, lafz tha likha hua,
na wo lafz rahe, na wo daatan rahi, meri tehreer ka unwan badal gaya...

Ab rastay hain meray chaar soo, par manzalen hain meri be,nishan.
Meray ham,safar ik too kia juda hua main tu apni zaat men bhatak gaya...

Yon tu sangadil tha itna k kia kahoon, rahen aahen bhi mujh pe be.asar.
Ik dard tera mujh ko kia mila main tu moum ban k pighal gaya...

Kabhi lout aa mujhay thaam ly meri be,lous muhbat ka "Yasir" enaam dy.
Wo ju teri khawahish thi amar hui main tu reza, reza hawa men bikhar gaya....!!

Bas tara pyar hi kafi hy mere jeene ko

 Bas tara pyar hi kafi hy mere jeene ko,
 Tere honton pe tabsum k mehkty hue pal,
 Tere chehre ki tamazat teri banhon ka hesaar,
 Teri ankhon mn wo chaht k chamkte jugnu,
 Teri qurbat ka meri jan wo khabeeda khumar,
 Kon maange ga duain mare jeene k liye,
 Kon sochy ga mje tari tarah sham.o.sehar,
 Kon seraab kre ga meri piyasi ankhen,
 Kon de ga mje jazbon k sabhi lal.o.gohar,
 Mere jeene ka sahara meri dunia tum se,
 Dekh hr lamha mje apna bnaye rakhna,
 Dil k aangan ko weran na kr jana kabhi,
 Apni chahat se meri jan sjaye rakhna,
 Bas tera pyar hi kafi hy mere jeene ko.

Shaam lout aati hai par jane walay

Too hi bata dy mujhe ay dil-e-betaab zara,
Ghamzada rehne k asbaab kahan se aatay hain...
 Main tu yak musht usay soonp doon sab kuch lekin,
Aik muthi men meray khawab kahan aatay hain...
 Muddaton baad ju usay dekha tu dil bhar aaya,
Warna sehraoun men sailaab kahan aatay hain...
 Meri be-dard nigahoun men agar bhoolay sy,
Nened aay bhi tu ab khawab kahan aatay hain...
Tanha rehta houn main din bhar teray hotay huay,
Shaam lout aati hai par jane walay lout kahan aatay hain......

Jaane kyun bahot roye hum aise karke...

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k,
Jane kiun bahot roaye ham esa kar k...
 Yun meri be-basi pe muskuranay walay,
Kia mila tujh ko meray dukh men izafa kar k...
 Kia kabhi too ne bhi mujh se muhbat ki thi,
Poch zara khud ko aainay men kharha kar k...
 Kaash too mery dard men hamdard bana hota ,Sagar,
 Too ne tu chorh dia mujh ko tamasha kar k......!

Thursday 11 April 2013

Meray dil ki duniya bana k mita di

Koocha-e-yaar may ja kar Yeh pukara main aaj,
"Ik dil bechata hoon hai koi lenay wala..."
Dil-farooshi ki sada sun k yakayak ghar say
Hasb-e-Naaz aa gaya' Darwazay pay wo matwala....
 Phir mujhay dekh k' Khush ho k laga yoon kehnay,
"Kiyon Miyaa'n !! Kon pukaara tha abhi dil wala?"
 Arz ki main nay "Mujood hai' hazir hai yeh dil....
Par dil say dil bechta hoon Hai koi lenay wala....??"
Phir jo kuch dil may aai Tu utha kar dil ko
Lay liya haath main' Dil khoob sa dekha bala....
Bahar-e-taqdeer wo kuch sooch k bola zalim
Jins naqas hai teri' main nahi lenay wala....
 Main kehta reh gaya' "Khata-e-Muhabbat nay achi saza di'
Meray dil ki duniya bana k mita di...."