Friday 12 April 2013

Na wo shoq-e-muhbat na talab rahi

Na wo shoq,e,muhbat na talab rahi, na wo dil, na wo dil men kasak rahi,
Han wo too bhi kuch, kuch badl gaya, han wo main bhi kuch, kuch badl gaya...

Kabhi wo bhi wo bhi din thay k meri har ghazal men, too lafz, lafz tha likha hua,
na wo lafz rahe, na wo daatan rahi, meri tehreer ka unwan badal gaya...

Ab rastay hain meray chaar soo, par manzalen hain meri be,nishan.
Meray ham,safar ik too kia juda hua main tu apni zaat men bhatak gaya...

Yon tu sangadil tha itna k kia kahoon, rahen aahen bhi mujh pe be.asar.
Ik dard tera mujh ko kia mila main tu moum ban k pighal gaya...

Kabhi lout aa mujhay thaam ly meri be,lous muhbat ka "Yasir" enaam dy.
Wo ju teri khawahish thi amar hui main tu reza, reza hawa men bikhar gaya....!!

Bas tara pyar hi kafi hy mere jeene ko

 Bas tara pyar hi kafi hy mere jeene ko,
 Tere honton pe tabsum k mehkty hue pal,
 Tere chehre ki tamazat teri banhon ka hesaar,
 Teri ankhon mn wo chaht k chamkte jugnu,
 Teri qurbat ka meri jan wo khabeeda khumar,
 Kon maange ga duain mare jeene k liye,
 Kon sochy ga mje tari tarah sham.o.sehar,
 Kon seraab kre ga meri piyasi ankhen,
 Kon de ga mje jazbon k sabhi lal.o.gohar,
 Mere jeene ka sahara meri dunia tum se,
 Dekh hr lamha mje apna bnaye rakhna,
 Dil k aangan ko weran na kr jana kabhi,
 Apni chahat se meri jan sjaye rakhna,
 Bas tera pyar hi kafi hy mere jeene ko.

Shaam lout aati hai par jane walay

Too hi bata dy mujhe ay dil-e-betaab zara,
Ghamzada rehne k asbaab kahan se aatay hain...
 Main tu yak musht usay soonp doon sab kuch lekin,
Aik muthi men meray khawab kahan aatay hain...
 Muddaton baad ju usay dekha tu dil bhar aaya,
Warna sehraoun men sailaab kahan aatay hain...
 Meri be-dard nigahoun men agar bhoolay sy,
Nened aay bhi tu ab khawab kahan aatay hain...
Tanha rehta houn main din bhar teray hotay huay,
Shaam lout aati hai par jane walay lout kahan aatay hain......

Jaane kyun bahot roye hum aise karke...

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k,
Jane kiun bahot roaye ham esa kar k...
 Yun meri be-basi pe muskuranay walay,
Kia mila tujh ko meray dukh men izafa kar k...
 Kia kabhi too ne bhi mujh se muhbat ki thi,
Poch zara khud ko aainay men kharha kar k...
 Kaash too mery dard men hamdard bana hota ,Sagar,
 Too ne tu chorh dia mujh ko tamasha kar k......!

Thursday 11 April 2013

Meray dil ki duniya bana k mita di

Koocha-e-yaar may ja kar Yeh pukara main aaj,
"Ik dil bechata hoon hai koi lenay wala..."
Dil-farooshi ki sada sun k yakayak ghar say
Hasb-e-Naaz aa gaya' Darwazay pay wo matwala....
 Phir mujhay dekh k' Khush ho k laga yoon kehnay,
"Kiyon Miyaa'n !! Kon pukaara tha abhi dil wala?"
 Arz ki main nay "Mujood hai' hazir hai yeh dil....
Par dil say dil bechta hoon Hai koi lenay wala....??"
Phir jo kuch dil may aai Tu utha kar dil ko
Lay liya haath main' Dil khoob sa dekha bala....
Bahar-e-taqdeer wo kuch sooch k bola zalim
Jins naqas hai teri' main nahi lenay wala....
 Main kehta reh gaya' "Khata-e-Muhabbat nay achi saza di'
Meray dil ki duniya bana k mita di...."

Wednesday 10 April 2013

Main lafzon mein kuch bhi

Main lafzuon main koch bhi izhhar nahi karti.
Matlaab yeh nahi k tujhe pyaar nahi karti.
Chahti hoon main tujhe aaj par
Teri soch main apna waqqt bekar nahi karti.
Tamasha na bon laye kahi mohabbat meri
Isi liye apne dard ko namoodar nahi karti
Jo kuch mila hai usi main khush hoon main
 Tere liye khuda say taqrar nahi karti
Par kuch to teri fitrat main zalim
Warna main tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti...

Zindagi my na hoti judai

Zindagi my na hoti judai,
 Tou yaad na karta har kesi k0 koi,
 Par acha kia Khuda nay bnai ye judai,
 Kyun K judai se hi samajh aati hai"
 Rishton Ki Gehrai.......

Saturday 6 April 2013

Khotta sika hoon ju chalta hoon tu

Meri hasti ko naey rang men dhal jane dy
Apne ham,raah mujhe door nikal jane dy...
 Aeyn mumkin hai k ye teer hadaf tak ponchay,
 Meri har sans ko seenay se nikal jane dy...
 Kab talak sath nibhaon dil,e,wehshi tera,
Dhal chuki umer mujhe ab tu sambhal jane dy...
 Teray bazaar men ly aaya hoon tootay sapne,
Khotta sika hoon ju chalta hoon tu chal jane dy.....!

Thursday 4 April 2013

Sab kuch jhoot kehta hai, Magar

Agr main tum se ye keh doun..!
Mujhe tum se muhbbat hai, Tu tum ye mat samjh lena..
K main ne sach hi kaha ho ga, K aesi dil nasheen baaton ko..
Aesay dil rubb lamhe men kehna, Mujhe bachpan se Aata hai...!
Meri ankhen, mera chehra, Mera be,sakhta lehja..
Sab kuch jhoot kehta hai, Magar is jhoot men..
Ek such bhi hai, Aur wo ye k...! Mujhe tum se Muhbat hai.....!

Chand ansoon hein hasti

Hum zamany sey faqat husn'e'guman rekhty hain
Hum zamany sey tawaqo hi kha rakhty hain,

Eik lamha bhi musarat ka baht hota he,
Loog jeeny ka saleeqa kaha rakhty hain?

Chand ansoon hein hasti ky chamak hai jinse,
Kuch hawadis hen k duniya ko jawan rakhty hen....

Ek muddat se mujhe soojhta kuch bhi nahi

Haath mera ay meri parchai too hi thaam ly,
 Ek muddat se mujhe soojhta kuch bhi nahi...
 Shehir,e,shab men kon sa ghar tha na di jis par sadaa,
Nened k andhay musafir ko mila kuch bhi nahi...
 Umar bhar umar,e,guraezan se na meri ban saki,
 Ju karay, karti rahe main poochta kuch bhi nahi...
 Wo bhi shahid ro parhay akhri khat parh kar,
Main ne us akhri khat men likha kuch bhi nahi......

Samjha do Apnii Yaadon Ko

Samjha do Apnii Yaadon Ko...!
Wo bin bhulaaye Chalii Aatii hen...!!
Tum to Door reh karr Sataati ho Magarr..!!
 Wo Paas A karr rulaa Jaati hen...!! ♥ ♥

Shaam lout aati hai par jane

Too hi bata dy mujhe ay dil-e-betaab zara,
Ghamzada rehne k asbaab kahan se aatay hain...
 Main tu yak musht usay soonp doon sab kuch lekin,
 Aik muthi men meray khawab kahan aatay hain...
 Muddaton baad ju usay dekha tu dil bhar aaya,
Warna sehraoun men sailaab kahan aatay hain...
 Meri be-dard nigahoun men agar bhoolay sy,
Nened aay bhi tu ab khawab kahan aatay hain...
 Tanha rehta houn main din bhar teray hotay huay,
Shaam lout aati hai par jane walay lout kahan aatay hain......

Wednesday 3 April 2013

Na Bikne Ka Iraada Ho

Zindagi Mein Mushkilen Aaye Toh,
Himmat Aur Barhti Hain,
 Koi Agar Raasta Roke,
Toh Jurrat Aur Barhti Hain,
 Agar Bikne Pe Aajaao,
Toh Ghat Jaate Hain Daam,
 Na Bikne Ka Iraada Ho,
Keemat Aur Barhti Hai…

Monday 1 April 2013

Kyun us ki taraf dekh k

Marney ka tere gham mai irada b nhi hai
Hai ishq mgr itna zyada b nhi hai
 Hai yun k ibaarat ki zuban aur hai koi
kaghaz meri taqdeer ka sada b nhi hai
Kuny dekhte rehte hen sitaro'n ki taraf hum
jab un se mullaaqat ka wa'ada b nhi hai
 Kuny raa'h k manzir mai ulajh jati hen aankhen
jab dil mai koi aur irada b nhi hai
 Kuny us ki taraf dekh k paao'n b nhi uthtey
wo shakhs hasee'n itna zyada b nhi hai
 Kis morr pe le aya hume hijar-e-musalsal
 taa-hadd-e-nigaa'h visal ka wa'ada b nhi hai
 Pathar ki trhan sard hai Q aankh ksi ki
amjad jo bicharne ka irada b nhi hai.....

Lekin phir B tujhe khuda Se Baar baar maanga

Mujhe apne barbad Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna Tu bohat roya.
 Main ne Har pal har Su tujhe Yad kia,
 Jab Tujhe Apni Yad se Gaafil paya tu bohat Roya.
 Ye zindagi Ye Ronaqein Ye ranjishein,
Jab in Sab me Tujhe Tanha paya Tu bohat Roya.
 Main ne apne Dil k har Konay me sirf tujh ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jab Koi Or dekha Tu bohat Roya.
Main Jaanta tha k To Es k Nasib me nahi Hai.
Lekin phir B tujhe khuda Se Baar baar maanga Tu Bohat Roya.

Muqadar Main Ho Doob Jana

Jab Kisi Ke Naseebon Ke Sitare Toot Jate
Hain Chor Deti Hay Dunya, Sahare Toot Jate Hain
Woh Kashti Jis Ke Muqadar Main Ho Doob Jana
Agar Toufaan Se Bach Nikle Tu Kinaray Toot Jate Hain