Friday, 29 March 2013

Majboor anaa Ho kar, paband e wafa ho kar Hum baith gay akhir raazi ba_raza ho kar, .

Majboor anaa Ho kar, paband e wafa ho kar..,
Hum baith gay akhir raazi ba_raza ho kar, .
Jis rut main woh bichra tha' Us rut k ta'Aqub main, .
Dill hai k dharkta hai, Raahon ki hawa ho kar.. .
 Is jism k zindan main ik omer say qaidi hoon,
ur jayen gay hum akhir ik roz riha ho kar .
 Ab tak mere angan main phoolon ka basaira hai,
 Guzray thay mere ghar say woh baadesaba ho kar.
 Is darja e mohabbat main doobi hai meri hasti,
  Har lafz nikalta hai honton say dua ho kar...!

No comments:

Post a Comment